Chapter - 7 " My mistake ? Really ?"

  Chapter - 7 " My mistake ? Really ?"
 




It was around 11:10pm


I was just sitting and was busy on orkut... Suddenly my phone started ringing.. My phone was kept in other room... Mai jab tak phone k paas pohoncha call disconnect ho gai thi... I quickly checked the miss call list and it was a call from Roopu.. It was bit surprising that Roopu is calling at this time.. May she wanna know how my mood is.. I called her back...



Talking on phone with Roopu


Me: Haan kya hua?? Itni raat ko call..??


Roopu: Lucky tune Anandita ko kahan drop kia tha?? ( Wo kafi dari hui lag rahi thi..)


Me: District center.. Y ? What happen?


Roopu: She met with an accident..!!


Me: What??? Kya keh rahi hai? kaise?? (Shit mann i started shivering with fear ..)


Roopu: She was coming back on auto or uskae auto ko ek car nai peeche sae hit kar dia tha...!!


Me: What??? Usae zada lagi to nahi...?? ( Mujhe Anandita ki fikar bhi ho rahi thi or apne aap pae ghussa bhi aa raha tha k thori der uskae sath wahi ruk k uasae ghar he drop kar deta to yae sab na hota...)


Roopu: I don't know.. Aakriti nai mujhe abhi call karkae bataya hai.. She is admitted in Max hospital.. Aakriti bhi wahi pae hai abhi...


Me: Roopu i just wanna go and meet her right now... R u coming with me or should i go alone..


Roopu: I m on my way to ur house... Tu neeche aake car nikal mai 5 min mai pohonch rahi hooo...


Me: Ok..( Some where in my heart i was feeling k iski wajay mai to nahi hooo.. Since i was just blaming her for what ever happen with me...) Babaji please uska khayal rakhna...





Roopu came with in 10mins and we left from our place around 11:30pm..


Me: Roopu pata kar konsae hopital mai hai..


Roopu: Ok


Roopu called up Aakriti

Roopu: Hello Aakriti..!! ( talking on phone with Aakriti)


Aakriti: Haan Roopali bol...


Roopu: Anandita  konsae hospital mai hai... Me and lucky are coming...


Aakriti: Wo ghar aa gai hai wapis... U guys can come home..


Me: Roopu pata kar usae zada to nahi lagi?


Roopu: Aakriti Anandita ko zada lagi hai kya?


Aakriti: No Just saved.. Bus left leg mae thora internal injury hui hai..


Roopu: Ok .. we r coming ...( Roopu disconnected the phone)



Me: Kya hua ? konsae hospital mai hai wo?


Roopu: Wo ghar aa gai hai wapis..


Me: Usae zada to nahi lagi?( I was bit relaxed that she is back home)


Roopu: Nahi bachaw ho gaya.. Left leg mai internal injury hui hai bus..


Me: Thank god.. Roopu is time usae ghar jana theek hoga its already 11:45pm..


Roopu: Aree haan its ok.. Dipti or Aakriti dono wahin pae hai..


Me: Tujhe uska ghar pata hai?


Roopu: Haan.. She stays in Punjabi Bagh west.. Punjabi Bagh club k peeche...


Me: ok..



We were crossing Narayna k tabhi Dad ka call Aagya..

(Phone was ringing)  Shit Papa ka phone hai kya bolu unhae... Papa ko accident k bare mai bhi nahi bata sakta he is in a party unki party spoil ho jaegi... ( phone got disconnected)


I called him back..

Me: Hanji papa...!! (Talking to dad on Phone)


Dad: Bahar hai kya? Peeche traffic ka shor aa raha hai?


Me: Papa wo tarun k ghar ja raha hooo.. Raat ko wahin stay karoonga..


Dad: Chal theek hai.. Tera mood theek hai na?


Me: Hanji papa bilkul theek hai...


Dad: Chal theek hai fir khayal rakh apna.. Hum raat ko late ho jaengae..


Me: ok papa.. Bye



But meri kismat mai ek musabat khatam hoti hai to doosri khari ho jati hai.. Police patrolling car nai mujhe Phone pae baat karte huae dekh lia tha...


Police: Gadi rok...( They brought their car parallel and were shouting from his car's window.)
 
Me: Shit man.. In logo ko bhi abhi ana tha... Ab yae log time waste karengae..( I Stopped the car on the side and they stopped their car in front my car)


Police: Bahar ajaa .. S.H.O Sahib bula rahe hai ( A constable came and told me) or Gadi k papers or license bhi sath laeaa...


Roopu: Shit.. lucky ab kya karengae.... 


Me: Tu ruk mai baat karkae ata hooo..( Yaar itni late to papa ko bhi call nahi kar sakta...) Hmm roopu tu nakali aansoo nikalti reh apni aankho sae.. Mai ata hooo..


Roopu: Nakali aansoo???


Me: Jaisa bol raha hoo waisa kar...


Roopu: Ok... ( Mujhe nahi pata tha k wo itni achhi actor hai aesa lag raha tha k sachi mai ro rahi hai.. Waise bhi larkiyo ko rone k liae kisi wajay ki zaroorat nahi hoti...) 


I took out papers of my car and my license and went near their police patrolling car.


S.H.O: Hmmm Itni raat ko kahan ja raha hai? Or wo bhi driving karte huae phone pae baat karte karte.. (While looking at my papers and license)

Me: Uncle wo humari ek friend ka accident ho gaya hai .. Uskae pass he ja rahe hai.. Aur papa ka phone aya tha unhae inform he kar raha tha...

S.H.O: Aur yae sath mai kon hai... ( Looking inside my car and saw that roopu was crying.. Chalo kahin to larkiyo ka rona kaam aya)


Me: Uncle friend hai meri.. Hum dono ki common friend hai jiska accident hua hai..


S.H.O: Wo to theek hai but Drive karte waqt phone pae kyo baat kar raha tha..


Me: Uncle wo pata kar raha tha k konse hospital mai wo.. ( Mujhe us police wale pae itna ghussa aa raha tha k kya bataooo)


S.H.O: Challan katwa aur ja...


Me: Aree uncle problem samjho... 


S.H.O: Beta tu bhi to problem samajh.. Agar hum tera accident ho jata to ..??


Me: Aare uncle idhar he lae k khatam karo na baat... ( I took out 300Rs from my pocket and gave him.. Kasam sae agar Anandita ka khayal na hota to ek Rs na deta isae..)
He took 300Rs and gave me all the papers

I quickly came back left from thr..


Roopu: Kya hua?


Me: Kuch nahi 300Rs lai or chor dia... (  i increased the speed of my car..)


Roopu: Aree lucky dheere chala, pata lage humara bhi accident hogaya..


Me: Tu baethi reh aaram sae..( Yaar ke to Anandita ki tension ho rahi hai upar sae yae dari ja rahi hai...)

 
We reached Anandita's house.. Roopu called Aakriti to open the door.. Aakriti came out to open door..


Aakriti: Hi luckyyy , hi roopali.... (with a big smile) .!!!( Yaar yar larkiyan kitni ajeeb hoti hai.. Yahan unki friend ka accident ho gaya hai aur yae aese welcome kar rahi hai jaise iskae ghar iska rishta lae k aae hai hum.. hud hai in larkiyon ki...)
 

Me: Hi why chhor yae bata hoz Anandita?


Aakriti: She is fine apne room mai rest kar rahi hai.. Hey come inside na bahar he khare rahogae  kaya..?? (Mujhe us samay Aakriti ki smile sae itni nafrat ho rahi thi k mann kar raha tha k punch maar k saare k sare dant tor doo uskae...)

 
We entered her house.. Dipti was sitting in the hall or koi nahi dikh raha tha mujhe ghar pae.. Mujhe kafi ajeeb laga k baki saare log kahan hai.. I thought shayad saare Anandita k room mai hongae uskae pass..


Dipti: Hi lucky how r u?? (With a smile) ... ( yae bhi smile kar rahi hai.. Abae larkiyo mai emotions hote hai ya nahi.. Dono aese mil rahi hai jaese kisi mareez sae milne nahi party karne aae hai hum)


Me: Hi dipti.. i m fine...  yaar Anandita ki family nahi dikhai dae rahi ..(talking to Aakriti)
 
Aakriti: Yaar uski sister or brother uskae dada dadi k sath  haridwaar gae hai.. or uncle aunty medicine laene gae hai...


Me: hmmm.. Anadita so rahi hai kya? ( I just wanna meet Anandita and i was also thinking k Rahul to nahi hai yahan pae..!!)


Aakriti: Wo upar apne room mai hai.. U can go and meet her, she is awake...!


Me: Ok.. 


I was feeling bit awkward .. K jaoo ya na jaoo uskae room mai.. Lekin maine himmat kari aur uskae room ka darwaza dheere sae khola and i saw...


..........................Next chapter coming soon................................

Comments

Popular posts

Intro and 1st Chapter "" Roopu's college"

Hello friends, I am posting one of my e-novel. Every alternate days I'll post a chapter.  Khuch iss kahani sae already wakif hai and bakiyon k liae yae ek nayaa karwaan... !! So guys do read and leave your precious comments below and don't forget to follow and share. So here i go.... . . . . . . . So here i m writing a story " So This Is My Love Story" of a boy name Lucky.. There are few more characters in this cute story , TARUN , ROOPALI "Roopu"(lucky's best friends), Aakriti ,dipti (roopu's friends) and  last but not the least Anandita  she was roopu's friend and ya 'my L I F E'... )                    Chapter - 1 " Roopu's college" 22 Jan 2008 7:30am I was talking to Roopu "First let me tell u about Roopu. Mera roopu sae milna ek itefaq tha.. 6feb 2006 ko mai apni ek friend "Kanika" ko uskae birthday pae wish karne uskae ghar gaya.. Mai ghar k neeche he khara tha or kanika

Chapter 12 : I am Lucky or i am really Lucky !!!

Chapter 12 : I am Lucky or i am really Lucky  I was sad for what ever happed today with anandita but also relaxed that i have such good friends..  After some time mai chhat pae gaya and i saw a cute dog running around. Dog was so cute.  Wait a min , yae to anandita ka Dog hai. ( Maine is dog ki pics kafi baar dekhi thi pehele) Yae yahan kaise  Lucky : Roopuuu ( I shouted and turned and i was shocked, anandita was standing behind me) Lucky : Tu yahan kaise !! i mean !! ek sec yae kya chal raha hai.. ( Then i saw rupoo and tarun coming from behind and smiling) Rupoo: Lucky pyaar der sae he sahi par samajh zaroor ata hai, aur tujhe kya lagta hai tu kisi sae pyaar kare aur wo tere lie galat soche kya yae mai bardasht kar sakti hoo..  Lucky: Par ek sec yae yahan kyon and kaise. Anandita: ( she came close to me and usane mera hath pakra and she said) I am sorry and I LOVE YOU Bhai logo mai sachi pata raha G fatne ki agar awaaz hoti to aaj noise polution ka chalan katta mera.. i was in s

Chapter 13 | First Date :-)

Chapter 13  | First Date :-) Now I called Tarun to take some training for Date.. Me: Oyae Tarun Gift mai kya doo usae... ( Talking on phone with Tarun) Tarun: Hmmm Ek kaam kar uskae liae achha sa ek stuff toy lae, sath mai flowers or thori si chocolate laeja.. Me: Abee date pae ja raha hoo usae adopt karne nahi jo chocolate lae jaoo.. ( I was getting a second call from Roopu) Oyae ruk Roopu ka call aa raha hai , usae bhi conferencing pae laeta hoo.. Roopu: Or sir ji Date pae ja rahe ho ( Now Me,Tarun and Roopu were on  conferencing)  Me: Haan yaar, fati pari hai samajh nahi aa raha kya karna hota hai date pae.. Tarun: Abe daekh mai to keh raha hoo achha sa stuff toy,flowers or chocolate laeja.. Me: Abae pagal hai kya.. Bakwaas idea hai.. Roopu: Usae kisi acche sae showroom pae lae ja k shopping karwa dio.. Me: No bad idea.... Yaar tum log kaise pakaoo idea dae rahe hoo.... Tarun: Bhai yahi sub hota hai.. Mai to apni sari Gf's ko yahi sub gift deta hoo... Me: Yaar theek hai mai